Saturday 20 September 2014

Kuch Khoya Aur Kuch Paya

Abhi itney saal nahi hue, main apney chotey se shahar main rehta tha. Agar jyada dramatic nahi kahe, to bhi wo R K Narayan ke Malgudi se kuch thoda he bada tha. Log ek doosrey ko jantey they, pehchantey they... fast food ka matlab keval, gali kinarey ka "chowmiene" he tha. Pizza abhi tv advertisement main he they, aur super markets bade shehar ka bukhar.

Par kuch saal baad main ghar aaya, aisa nahi ki main itney baras ghar nahi aaya, saal main 2-3 baar main aa he jata hu, par is baar, main Holi, Diwali ya New Year nahi par chutti manane aaya tha... iss baar kuch alag tha, mere shehar main mere dost nahi they, sab naukri ke liye abb bade shahr main he rehtey hai. Waise bhi in he un main se ek hu. Jo apni roti kamaney ke liye bade shehar main rehta hu. Kher is baar mujhey pehli baar aisa laga ki shayad mera koi dost shehar nahi hai. Bada shehar naukri deta hai, par apney nahi. Mere bachpan ka shehar ghar deta hai naukri nahi.

Shayad aisa pehli baat hua ki main apney bachpan ke shehar main sirf apney pariwaarn ko janta tha.. baaki sab anjaan, bilkul us bade shehar ki tarah, jahan main sirf apney kuch doston ke saath rehta hu. Aur us shahar main wo he mera parivaar hai.

Badey shehar ki nakal main, mere bachpan ka shehar apne aap ko bhool raha hai. Nayi dukaney ban rahi hai, jo wo har samaan bechti hai, jiski hume 10 saal pehley koi jaroorat nhi thi. Fast food chain khul gayi hai, aur kuch retail super market bhi, meri Ma ko lagta hai, ki unka shehar abb retired logo ka shehar ban gaya hai. Aur yeh sahi bhi hai... par pata nhi, mera shehar kaun sa hai.

Wahan sadkey wahi hai, shayad khaddey thodey badal gaye hai, padosi wahi hai, pur uncle auntie ke hair color badal gaye hai. Gaadi wahi hai, par scratch thodey se naye hai. Aankhey wahi hai, par chasmey thodey badh gaye hai. Pata nahi kuch badla gaya hai, ya kuch nahi badla hai, par ab mera shehar, kahi kho gaya hai, abb main ek bagadiya sa ho gaya hum, bade shehar ki bheed main gum sa ho gaya hu. Nahi maloom jyada paya hai, ya khoya hai... pur ha, main kahi kho gaya hu.

No comments:

Post a Comment